Sunday, June 25, 2006

Yaad.........

dil dharakne ka sabab yaad aaya
vo teri yaad thi ab yaad aaya
bahut mushkil tha sambhalana ae dost
tu musiibat me ajab yaad aaya

din guzaaraa tha badi mushkil se
phir tera vaadaa-e-shab yaad aaya
haal-e-dil ham bhi sunate lekin
jab vo rukhsat huwa tab yaad aaya

baith kar saayaa-e-gul main Nasir
hum bahut roye vo jab yaad aayaa

Intezaar.......

mere dil ke armaan teri aankhon mein nazar aate hai
teri bahoon me aake hum patton ke tarah bikhar jaate hain

Sochte hai humesha, kitna kuch kehna hai tumse
tumhaare saamne aate hee lafz hoto pe ruk jaate hain

tumse milne ki tamanna hai meri ab dil mein
par soch ke woh lamhe na jaane kyon sihar jaate hain

ye sach hai ke tumhe jaana hai ek din
ye jaan ke bhi hum tere ishq mein kho jaate hain

har lamha tere intezaar ka mera ishq ko aur badha deta hai
teri aane ki aahat sunne ke liye apni dhadkan ki aawaz bhi daba jaate hai..