Sunday, June 25, 2006

Intezaar.......

mere dil ke armaan teri aankhon mein nazar aate hai
teri bahoon me aake hum patton ke tarah bikhar jaate hain

Sochte hai humesha, kitna kuch kehna hai tumse
tumhaare saamne aate hee lafz hoto pe ruk jaate hain

tumse milne ki tamanna hai meri ab dil mein
par soch ke woh lamhe na jaane kyon sihar jaate hain

ye sach hai ke tumhe jaana hai ek din
ye jaan ke bhi hum tere ishq mein kho jaate hain

har lamha tere intezaar ka mera ishq ko aur badha deta hai
teri aane ki aahat sunne ke liye apni dhadkan ki aawaz bhi daba jaate hai..

0 Comments:

Post a Comment

<< Home